Monday, May 01, 2006

Kya matribhakti, kya deshbhakti

gir kar ambar se anjali tak
maine poocha us boond ki antim swasoon main
hey mridu neer, hey chamkili thandak
tum giri yahan kis abhilaahsa se

boli "abhilasha kaisi? ye niyati hai
ye kartavya hai, aasakti hai!
kiske prati kya gyat hai?
ye dhara jo meri mata hai, tat hai

ye dhara hai meri prerna
isi ne mera uthaan kiya
to kyoon karoon main awhelna
jab isne mujhe yaad kiya

ye sajeev prem hai mata ke prati
main kis prakar utar sakti
uska rin mere prati
par haan main matribhakt,ye meri matribhakti

main usi ke garbh se ankurit hui
usi ke aanchal main panpi
par tum kya samjhoge, hey manav
manav mashtishk to hai paapi

hey manu! hriday tumhara pradooshit hai
mann ki chadar maili hai
kya rang chadega bhakti ka
tumhari aadatein gandi hai

supt mooliyoon ko jaagrit karo
man ke mail ko saaf karo
tab to kuch main bhi batlaoon
kya matribhakti, kya deshbhakti. "

0 Comments:

Post a Comment

<< Home